Up Nivesh Mitra Online Apply 2020 | Registration, Complaint, Online NOC and Grievance Redressal

Garima Sharma
0

Up Nivesh Mitra Online Apply 2020 | Registration, Complaint, Online NOC and Grievance Redressal

Cover - UP Nivesh Mitra Portal. How to online registration to up nivesh mitra portal. Up Nivesh Mitram Online Apply, Nivesh mitra registration, nivesh mira up in hindi, aay jati niwas online up, e mitra portal up, UP Nivesh mitra online panjiyan, how to use up nivesh mitra portal

Up Nivesh Mitra Online Apply

Uttar Pradesh Rajya ke vyapaar ko asaan banane ke liye government ne UP Nivesh Mitra portal ki shuruaat ki hain. Iss portal ke dvara kuch upyogi sewaye jaise security, kanuni meteorology, enverment related certificates aur NOC  rajya ke  Chote, Madhyam aur Bade Vyavsaai aur udhamiyo ko online mil sake. Agar aap up nivesh mitra portal ki puri jaankari chahate hain to iss post ko akhiri tak jaroor padhe.

What is UP Nivesh Mitra Portal

Single window potal par uttar pradesh ke 20 govt department se related 70 facilities online provide ki jaati hain. Saral bhasha me samjhe to UP Nivesh Mitra Portal me NOC, License, Praman Patra 3rd Party Satyapan jaisi sabhi sevaye online uplabdh hain. To agar aap bhi iss prakar ki koi bhi sewa ka upyog karna chahate hain to UP Nivesh Mitra Online Portal par jakar registration kijiye aur login kijiye. Aur sabse acchi baat to iss portal me aavedan karne ke liye aapko kisi bhi prakar ki fees nahi deni hogi. UP me koi bhi business (Vyavsaay) shuru karne ke liye aapko company ka panjikaran (Registration) aur Aupchariktaye (Rules) follow karna jaroori hota hain. Jisme aapko iss portal se apna vyapaar shuru karne me bahut aasaani hogi. Iss portal ka uddesh hi naukari ke avsar badhana aur rajya me nivesh ki isthiti me shudaar karna.

UP Nivesh Mitra Portal Target

Up nivesh mitra portal ka mukhya uddesh panjiyan aur other facilities ko online provide karna aur usko track karna. Aur isme pardarshita rakhne ke liye udhamiyo ko yah sewa pradaan ki jaati hain. Iss yojna ka ek uddesh yah bhi hai startup udhmi aur govt (sarkari vibhag) ke beech pardarshita isthapit karna.

PM Garib Kalyan Rojgar Online Registration 2020 | How To Apply Online

Benefits of UP Nivesh Portal

  • Uttar Pradesh ke udhamiyo aur vyapariyo ko online sewaye pradaan karna.
  • Nivesh mitra portal rajya vyapaari aur udhami ke liye single window ke roop me karya karta hain.
  • Iss portal me sabhi govt order aur departmental rules ki jaankari di rehti hain.
  • Iss portal ke madhyam se aavedak processing fees ko online pay kar sakta hain.
  • Aap iss portal ke madhyam se aavedan ko online track bhi kar sakte hain.
  • Iss portal ke benefits lene ke liye aapko isme Registration karna hoga.
  • Aur jaise hi aapke documents approve ho jate hai to aap digital certificate download kar sakte hain.
  • Iss portal me aapko mostly sabhi NOC aur anumolan ki online mil jayenge.

UP Nivesh Mitra Single Window All Facilities

  • PICUP
  • Yamuna Expressway
  • Sram
  • Shakti
  • Vidhyut Suraksha
  • Stamp aur panjikaran
  • Agni Suraksha
  • Housing Registrar  
  • Utpad Shulk
  • Custom Duty
  • Weight (Vajan aur maap)
  • UPSIDC
  • Sehari Vikas Lok Nirman
  • Forest 
  • Noida / Greater Noida

UP Nivesh Mitra Online Registrar Kaise Kare?

  • Agar aap iss portal ka labh lena chahate hai to aapko http://niveshmitra.up.nic.in/ ki iss website par visit karna hoga.
  • Iss website par visit karne ke baad aap REGISTRATION HERE ka option dekhe. Aur uss par click kare.
  • Jaise hi aap iss option par click karnge to ek new page open hoga. Jo ki ek form ki tarah dikhega.
  • Iss form me aapko ENTREPRENEUR REGISTRATION karna hai. Jisme aapko neeche diye gaye topics fill karna hai
  • Company Name (aapke vyvsaay ka naam)
  • Entrepreneur Name (aapka naam)
  • Mobile Number (aapka mobile number)
  • Email ID (aapki email id)

Uper di gai jaankari sahi sahi bharne ke baad aap register button par click kare. Ab aapka registration poora ho chuka hain.

Shikayat Nivaran / Complaint 

  • Iske liye aapko sabse pehle official website par jaana hoga jo ki upper hamne batai hain. Iske baad home page par aapko FEEDBACK ka option dikhai dega.
  • Feedback option me aapko  GRIEVANCE REDRESSAL ka option dikhega jisme aapko click karna hai. 
  • Iske baad next page open hoga jo ki ek form ki tarah hoga jisme aap nimn jaankari bhare.
  • Grievance Redressal / Feedback
  • Company / Association Name
  • Mobile Number
  • Suggetion / Shikayat / Query / Problem
  • Subject / Topic (Problem)
  • Verification Code

uuper di gai jaankari bharne ke baad aap SUBMIT button par click kare aur aapka kaam ho gaya. 

Note – Hamne aapko iss yojna ya portal ki jaanakri asaan shabdo me samjhane ki kosis ki hai. Par agar abhi bhi aapke mann me koi sawal ya prashn hai to aap hame comment ke jariye puchh sakte hain. Jinka uttar dene me hame khushi hogi.

Post a Comment

0 Comments
Post a Comment (0)

#buttons=(Accept !) #days=(20)

Our website uses cookies to enhance your experience. Learn More
Accept !
To Top